Tuesday, March 16, 2010

Duniya


Prelude:

In a few words...
What if you get... wht u always dreamed of???
What if every one in this world whom u wished to be happy... becomes happy???
What if someone u knew... takes away everythng u once shared with them???
What if every thing in this world u liked... is destroyed/culminates???

U may look at it and say that its an outright negative passage...
but is there an end point??? in either happiness or sadness...
Whatever our state is... d world keeps moving... taking u along...

There's never a finish line...

~~~ DUNIYA ~~~

Raato me jagte unn dosto ki duniya…
Baarish se bachti unn baaho me duniya…
Chupke se roothe, chupke se maane…
Aakhon se kehti, aakhon se sunti…
kuch naa jaane, kuch naa maane…
Mamta se bhari unke pyaar ki duniya…
Papa ke hasmukh kahaniyo ki duniya…
Bhaiya ki unn choti daato ki duniya…
Yeh duniya agar mil bhi jaaye toh kya hain!
Jawani ke josho me peeti yun duniya…
Pal pal yun rukti aur pal pal yun chalti…
Hasti, hasaati, umeede dikhati…
Zarne ki zarzar me chapchap yun karti…
Yeh duniya agar khil bhi jaaye toh kya hain!
Khwaisho se bhari umeedo ki duniya…
Paise pe chalti, yeh dollar kyu ginti…
Akela yun karti, kyu mithi naa bharti…
Kahe shoor karti, kahe zoor karti…
Khamoshi se badle, khahe tu naa jagde…
Yeh duniya agar mit bhi jaaye toh kya hain!
Tareefo aur jhooti hastiyo me uljhee…
Haste aur roothe num palko se bole…
Mit mit ke bante, ban ban ke mit teh yun rishto ki duniya…
Rishto ko rishto se kahe tu kaate yun…
zaroorat se banati yun niyat tumhari…
Yeh duniya agar chin bhi jaaye toh kya hain!
Yeh duniya agar mil bhi jaaye toh kya hain!
Yeh duniya agar khil bhi jaaye toh kya hain!
Yeh duniya agar mit bhi jaaye toh kya hain!
Yeh duniya agar chin bhi jaaye toh kya hain!
Ooo ree duniyaa…
Ooo ree duniyaa…
--- ViNIT